Thursday 14 July 2011

Meray log ...

Hum logon ki ye adat hai ke hum hamaisha apnay baray mein sochtay hain, hamaisha apni fikar kertay hain lekin kabhi dusron ke baray mein nahin socha. Kabhi ye bhi nai socha ke humaray ilawa aur bhi bahut log hain jo bahut buray halat mein hain, unkay paas tou khanay ke liay bhi kuch nai hota gar aik waqt ko kuch mil jata hai tou aglay kuch dino tak bicharay bhukay rehtay hain, wo log sirf umeed ki bina per jee rahay hain. Agar hum unsay mukabla kerein tou humein ALLAH ka shukar ada kerna chaya hai ke humaray paas bht hai, hum achay say acha khatay hain aur pehentay hain, unkay pas na khanay ko kuch hota hai aur na pehenay ko. Hum logon ko chaya hai ke hum unki madad kerein jitna hum kersakein. 
Humein chaya hai ke hum apnay logon ki parwa kerein aur un logon ki madad kerein jinko wakai mein madad ki zarurat hai aur jo (deserving) hain, agar hum unkayliay kuch acha kerein gay tou humein acha lagay ga aur ALLAH mian ko bhi :) 
Isliye i would say that " We should all love the people in our country, everyone has full right to live and if we can then we should give them that right and make them feel special, make them happy and make them feel good because they are the part of this world and they have all rights to live the life with full luxury".   
*IT IS OUR SPECIAL DUTY, THAT IF ANYONE NEEDS OUR HELP , WE SHOULD GIVE THEM SUCH HELP TO THE UTMOST OF OUR POWER.

No comments:

Post a Comment